Hello Friends jaisa ki ab sabko pata hai ki jio ne launch kar diya Jio new feature jio payment bank . Aj is post mai apko jio payment bank kaise open kare is question ka answer milega.
Dosto is post ko dhyan se padne ke baad apko jio payment bank opening process step by step ke bare mei pata chalega. Jio Payement Bank opening full process ko padne badd apko bohot chiz pata hoga jaise..
- what is jio payment bank ltd ?
- how to create jio payment bank for free ?
- how to create jio payment bank bhim upi address ?
Guys How To Open Jio Payment Bank ke regarding mai do video already mere youtube channel ” Biswas Tek ” , ” Technical Balok ” par upload kar diya hoon . ap chaho to check out kar sakte ho.
What is Jio Payment Bank Ltd. ?
Jio Payment Bank ek aisa bank hai jisse apka banking kam jaisa payment aur easy ho jayega. Jio payment bank se aplog bina koi form bhare bank ka kam jaise cash deposit , withdraw kar sakte ho apke nearest jio payment bank outlet par visit karke. Recently jio india mai 70000 se vi jyada jio payment bank outlet open karne ja raha hai.
Jio Payment Bank se aplog apka day to day work jisme bank ka jarorat hota hai jaise recharge , bill payment, shopping ye sob vi kar sakte ho.
Jio Payment Bank ka sara kam karne ke liye apko koi form filup nahi karna padega sirf apke aadhar card se hi ho jayega. Jio Payment Bank 1yr ke liye valid rahega uske bad vi continue karne ke liye apko full kyc karna padega.
How To Create Jio Payment Bank For Free From Mobile ?
Dosto jio payment bank banane ke liye jio abhi sirf uni user ko mauka de raha hai jiske pas ek jio money account hai. Agar ap mai se kisi ke pas jio money wallet account nahi hai to aplog easily create kar sakte ho. Jio Money Wallet par account bana ne ke liye Jio Money app download karna padega . [ Download Now ]
Dosto Jio Money install ho jane ke bad jio payment bank opening full process janna padega. Neche deye hue steps ko follow karke apka Bank open ho jayega.
- sabse pehle jio money wallet install ho jane ke baad apko jio money wallet par apke jio no deke registration karna hai. Ap chaho to dusre operator se vi registration kar sakte ho lekin jio no dekar registration karna sahi rahega.
- ok to apne successfully jio money par registration kar liya , ab apka next kam hai apke my jio app ko update karna . In many cases update karne ke baad vi bank open karne ka link rehta hai. Don’t worry neche mai link de deta hoon ap waha se jakar direct jio payment bank opening page par redirect ho jaoge.
—————————————– Direct Download– —————————————-
3. Dosto link par click karne ke baad my jio ke dashboard par jio payment bank ka option apko dikhega . Apko sirf ” Upgrade Now ” par click karna hoga . Agar nahi show ho raha hai to ab sirf is link par click karo .
4. Dosto upgrade now par click karne ke bad apko ek naya page dikhega jaha pe apko click karna hai ” Lets Get Started ” .
5. Dosto iske bad apko apka jio matlab jo no apne jio money wallet par diya tha wo no dena padega. uske bad proceed par click karne par no verify hoga . Fir apko 4 Digit MPIN create karne ke liye kahega. and uske bad chaho to fingerprint lock vi enable kar sakte ho.
6. Dosto MPIN create karne ke bad ek new page open hoga jaha pe apko click karna padega ” Upgrade To Jio Payment Bank Savings Account ” .
7. Dosto uske bad apko dena padega apka aadhar no , fir proceed par click karna padega. Iske bad apka pan no and others details poocha jayega . Ye sab apko submit karna padega.
8. Pan and others details submit karne ke bad apko apka address dene ke liye kahega jo apke aadhar card ke address ke sath match hona chahiye.
9. Dosto last and final step apko apka nominee details dene ke liye kahega jo ap nahi vi de sakte ho. Nominee details submit karne ke baad apko full details check karne liye kahega. Agar apka details jo apne submit kiya wo correct hai to ap terms & conditions ko accept karke proceed par click kar do.
Dosto bas ab apko kuch aur karne ke jarrorat nahi apka kam ho gaya. Iske bad apko ek message ayega jio company ke taraf se , bola jayega apka jio payment bank processing par hai aur apka jio payment bank open ho jayega within 7 days. Lekin mere case mai 1 din ke andhar jio payment bank open ho jayega.