YouTube Video Viral Kaise Kare ? | How To Make YouTube Video Viral in 2021

How To Make YouTube Video Viral –

Hello Guys to kaise ho aap sab. Kya aapka ek YouTube Channel hai aur aap pareshan ho ye soch kar ‘ How To Make YouTube Video Viral ? ‘ Then aaj mai aplogo se kuchh tips and tricks ke bare mai baat karunga YouTube Video Viral Kaise Kare iske related . Ye YouTube Tips jo maine follow kiya tha aur mujhe result vi mila tha .

YouTube Video Viral Kaise kare –

YouTube Video aaj kal koi vi bana ke upload kar sakta hai lekin problem ye hai ki youtube video viral kaise kare . Aaj mai aplogo se mere youtube experience ke bare mai baat karunga . Kaise mera pehla video viral hua tha youtube par aur kaise mere YouTube Channel grow hua tha . YouTube Video Viral karne ke liye mai apko total 10 tips dunga ye 10 tips agar aap follow karenge to definitely apko positive result milega . Ho sakta hai apka YouTube Channel Grow vi ho jaye aur YouTube Video Viral vi ho jaye .

Topic For YouTube Channel –

Agar apne abhi tak YouTube Channel create nahi kiya ya karne ki soch rahe ho to sabse pehle YouTube Channel ka Topic or Niche choose karlo. Because agar apke channel koi ek particular topic par nahi focus karke chalega to apke liye muskli age barna . YouTube Channel Niche or Topic choose karne ka best upai hai aap usi topic par video banao jispar aap sabse best ho .

Mere kehne ka matlab ye hai agar aap comedy par best ho to aap comedy channel banao . Aur agar technology par best ho to aap usi par video banao . Agar aap ek particular topic par focus karke kaam karenge to definitely apka youtube channel bohot jaldi grow karega .

Agar aapko firvi samhaj mai nahi aa raha ki konsi topic par channel create kare , to ekbar socho ki aap kis tarake video din mai jyada dekhte ho . Aur aapko konsa video jyada pasand hai . Agar aisa topic hai jisme aap sabse best ho to usi topic par video banao .

Also Read : Helo App Rs 300 Per Referral

YouTube Channel Name –

Guys abhi ka jo jamana hai woh lagvag paid ka ho chuka hai free ka almost jane wala hai . To agar aap ek channel create kar rahe ho to uska SEO ( Search Engine Optimization ) karna behot jarrori hai YouTube Video Viral Karne ke liye . Agar aapne channel bana liya aur videos par views vi tik tak aa raha hai to thik hai . Lekin agar aap abhi tak channel nahi banaya aur banane ka soch rahe ho to uska name channel ke topic se related do. Isse benefit ye hoga – thoda videos matlab 25-30 upload karne ke baad uss topic se related jab koi kuchh search karega to apka channel name aur video sabse upar jayega . Isse faida ye hoga apka YouTube Video Viral ho jayega bohot jaldi .

Thoda aur khulke agar bataye to agar aap video banaoge earning se related to channel ka name do ‘ earning suvam ‘ , ‘ earning video by suvam’ etc .

youtube video seo kaise kare

Regular Video Upload –

Youtube Video Viral karne ke liye ek tarika jo bohot pehle se chale aa rahe hai wo hai regular video upload . Regular video upload ka matlab ye nahi ki aapko daily ek video apke youtube channel par dalna hoga . Aisa nahi . Youtube video viral karne ke liye apko regularity maintain karke video dalte rehna hoga . For example agar aapse possible ho raha hai sirf hapte mai 3-4 video upload karna . To fir aap usi ko maintain karte jayye .

https://www.youtube.com/watch?v=yPkL33PH5gQ

Agar aapne socha aaj to sunday hai chalo aaj 5 video dalte hai . Aur next 5 din baki kaam mai dhyaan denge . To aisa mat kijiye because YouTube par wohi video chalta hai jo regularity maintain karke rakhte hai .

Agar example bolu to ‘ Technical Guruji ‘ ek aisa channel hai jo daily do video upload karta hai . Ise kehte hai regularity maintain . Agar aap regularity maintain karke fixed time par video upload karte jayenge to aap vi ekdin successful youtuber ban payenge . Mai bohot article read kiya jaise ShoutMeLoud ka vi . Sabhi ne regular video upload karne ka suggession deya hai , to isko ignore mat karna .

Trending YouTube Video –

Guys apka youtube channel kisi vi category ka kyon na ho . Apko har week atleast ek trending video banana hi chahiye. Because trending video apke channel par agar apne sabse pehle daala hoga. To definitely uspe apko thoda better result dekhne ko milega .

how to make youtube video viral in 2020

Agar mai mere YouTube Channel ‘ Biswas Tek ‘ ke bare mei batau to . Ye channel vi grow hua tha matlab video viral hua tha trending video ke wajha se . Agar aap trending topic par sabse pehle aur sabse accha video jaldi banate ho.

To bina SEO kiya hue hi apka YouTube Video Viral ho jayega . Halaki trending video aj chal raha hai aur aap video banaoge kal to wo video viral jane ka chance behot kam hai. Trending Video agar aap jaldi upload karte ho tabhi apko better result dekhne ko milenge .

Face Video On YouTube Channel –

YouTube Video Viral karne ke liye aaj ke date jo chizz behot important hai wo hai face video . YouTube par pehle pehle jab aab face video banayenge tab ho sakta hai apko better result nahi mile . Lekin kuch video dalne ke baad , thoda camera friendly ban jane ke baad apke video achha result le ayenge .

Because maine ye notice kiya hai jo vi banda youtube par face video banate hai uska ek targeted audience hota hai . Usse faida ye banta hai , ki uske channel par ek targeted audience ban jaate hai . Jo audience sirf uss face ke karon koi vi video dekh te hai .

Good Audio Quality –

How To Make YouTube Video Viral ke answer ye vi hai ki aapko good audio quality dena padega . Video quality agar thoda idhar udhar to vi chalega . Lekin audio achha hona jarrori hai . Audio accha karne ke liye aap Boya – BY – M1 microphone use kar sakte ho . Jo almost every YouTuber use karte hai .

YouTube Video Thumbnail –

Log YouTube Video par click karne ke liye sabse pehle jo chizz dekhta hai wo hai Thumbnail . Agar apka video ka thumbnai achha nahi hai to jahir si baat hai uspe koi click nahi karega . YouTube Video Thumbnai Create karna behot easy hai . Aane wale dino par mai iske upar vi baat karunga .

youtube video thumbnail

YouTube Video Viral karne ke liye aapko sabse pehle uske Thumbnail par kaam karna padega . Definitely video ka content quality achha hona chahiye lekin thumbnai apko attractive karna padega . Taki log baki video ko chorr ke apke video par hi click karen .

Video Title , Tag & Description –

How To Make YouTube Video Viral ? ‘ iska answer ye vi hai ki apko better SEO karna padega . Matlab apko YouTube Video viral karne ke liye uspe propar title use karna hoga . Jaise agar aapne video banaya hai Digital One India Part Time Data Entry Job se related . Aur apne title par de deya kuchh aur to apka wo video na to logo ke pass suggested par jayega aur nahi uspe views ayega .

Title – YouTube Video jis topic par hai title wohi dena hoga . Agar apne video banaya hai Jio Recharge Offer se related to title par vi wohi likhna padega . Because tabhi wo logo ke pas jayega aur log usko jyada der tak dekhenge .

Description – Ttile ke baad bari aati hai description ke . YouTube Video jisvi topic par hai usi ke bare mein apko description par likhna hoga . Agar aap description bilkul blank chod denge to ispe bohot negative effect padta hai . Isiliye decription likhna vi jaroori hai . Description par video details , Hastag ke alawa aap apke bare mai vi likh sakte ho . Aur aap apka social media link vi de sakte ho .

Tag – Title ke baad agar koi chizz youtube video viral karne ke liye jarrori hai , to wo hai tags . Tags agar aap genuine tarike se acche se laga te ho to video konsa vi topic ka kyon na ho apka video search result par jayega . Lekin agar aapne isko inappropriate tarike se use kiya ya fir kuch galat kiya to uss video par apko positive result nahi milega .

YouTube Video hai agar Paytm Cashback Offer se related to apko vi tags use karna hoga . ‘ Paytm Cashback Offer ‘ , ‘ Paytm’ ‘ Cashback’ , ‘today cashback offer ‘ etc . Lekin agar apne tag laga deya ‘ salman khan’ , ‘ dabanng 4 ‘ to woh video to gaya . Matlab search result par nahi ayega . Agar aap chahte to searchable audience target karna to video mai 8-12 tag use karo . Jisme ek tag apke channel ke name se vi dena . Jaise mai hamisha ‘ Tech Suvam ‘ tag use karta hi hoon .

HasTag ( #techsuvam) –

YouTube Video Viral Karne ke liye Title , Tag , Description dene ke baad vi agar aap HasTag use karte ho to uska SEO aur improve ho jayega . Hastag ka reach bohot hota hai . Agar asaan vasha mai bole toh agar apka video hai Meesho App Refer and Earn Offer. To apko hastag dena padega #meeshoapp… aise .

Make Lifetime Watchable Video –

Lifetime watchable video means jo video agar koi 2 saal baad vi dekhenge to usko benefit milega . Agar aap aisa video banate ho to apko ek video se puri zindegi views , money sab kucch milega . For example agar aap video bana rahe ho Amazon Great Indian Festival Sale 2020 se related . To wo video sirf 1-2 weeks ke liye valueable rahega . Lekin agar aap video bana rahe ho How To Grow On YouTube , to uspe apko lifetime view milega .

Add I Cards & End Screen –

I Button – Aapne dusre YouTube Channel ke video dekhte time ye chizz jaroor notice kare honge. Ki wo log bolte hai i button par link hai jake dekho . To iska do benefits hai . Ek to usko i button par video ke liye vi views mil gaya aur saath mai iss video ka vi seo ho gaya .

I button par video add karne se dono video par views jyada aate hai . Lekin i button par aap wohi video add karna jo iss video se related ho . But Aur ek baat YouTube Video ke i button pe usi time video link karna jis time par aapne uss video ke bare mai bola . Ye YouTube Video SEO ka ek part hai , Aur mujhe isse result mila .

End Screen – i button ke alawa vi aap koi aur video add kar sakte ho wo hai End Screen . End Screen par video add karne par vi apko bohot achha result milega . Ek to apko end screen videos par view mil gaya . Aur dusra audience retention vi bar gaya .

Share YouTube Videos On Social Media –

Dosto YouTube Video Viral kaise kare ka last but not the least ans hai Share on Social Media . Because Aap social media use to karte hi ho Jaise Facebook , Twitter or Instagram . Agar aap apka video social media par share karte ho , to apko thoda aur view milega . Aur agar kisi audience ko apka video achha laga to wo vi apke video ko share karenge .

YouTube Video social media par aap trailer bana ke vi daal sakte ho . Jaise aap video ke sabse attractive part ko 10-15 sec cut karlo aur usko upload kardo social media par . Aur uske neche video link . Isse agar kisi ko interest hua to definitely wo us link par click karke apke video watch karega .

Conclusion –

Dosto i think apko pata chal chuka hoga ‘ How To Make YouTube Video Viral ‘ aur ‘ YouTube Video Viral kaise kare ‘ ka answer . Agar aapko iss topic se joori hui koi aur chiss janna hai to comment kijiye . Aur aise hi post hindi mai sabse pehle janne ke liye iss page par regular visit karte rahiye . Thanks For Your Time .

Suvam Biswas

Suvam Biswas is the founder of this blog. He has spent the last 5 years helping people navigate digital marketing and online income. Through this blog, he shares simple, practical ideas on finance and side hustles to help you achieve your dreams.

Leave a Comment